(chaahe raam kaho chaahe shaam kaho
dono ka matlab ek hi hai) - (4)
shree raam ke haath mein dhanushbaan
aur shaam ke haath muraliya hai
hai saawali surat dono ki yeh roop alag chabi ek hi hai
chaahe raam kaho chaahe shaam kaho, dono ka matlab ek hi hai - (2)
shree raam ke sang mein jaanaki ji
aur shaam ke sang mein raadha hai
hai alag alag yeh naam magar waise shakti sab ek hi hai
chaahe raam kaho chaahe shaam kaho, dono ka matlab ek hi hai - (2)
shree raam ne raavan maara tha, shrikrishna ne kans pachhada tha - (2)
dono vishnu avtaari hai, dono ka kartab ek hi hai
chaahe raam kaho chaahe shaam kaho, dono ka matlab ek hi hai - (2)
ek kaushlya ke pyaare hai, ek yasuda ki andaare hai - (2)
dono ke khel niraale hai, dono jag ke ujiyaare hai
chaahe raam kaho chaahe shaam kaho, dono ka matlab ek hi hai - (4)
No comments:
Post a Comment